Muhabbat rog hai jana
Ajab sanjoog hai jana
Ye kesa jog hai jana

Bary boorhy bataty thy
kai qissy sunaty thy
Mgr hum maanty kab thy
Ye sab kuch janty kab thy
Ye batain zikr k qaabil
bhala gardaanty kab thy

anaa k takht pe bethe
Humain maloom hi kab tha
Anaa k takht se oper
Bohat saari bulandi pr
Kahin pariyon k jhurmut me
Tere pairoon ki payal me
Tere chooty se gaoon me
teri zulfoon ki chaoon me
sitary, chaand,  sooraj
wahan pr raqs krty hain

humain maloom hi kab tha
tere qadmon ki aahat pr
gulabi muskarahat pr
tere honton ki jumbish pr
tere sir k ishry pr
sada-e-dil-barana pr
nigah-e-qaatilana pr
jafa-e-mehrmana pr
adaa-e-qaatilana pr
chaaman k phool saary
is trha se dhayan dete hain
zara se wasl k jhaansy me
apni jaan dete hain

humian kab ilm tha jana
tere paykar se dhul kr
chaandani her soo bikharti hai
shab-e-mehtab ki dosheezgi
kese nikhrti hai
teri awaz weerany me
kya jadu jagati hai
tere naghmy fiza me
kis trha jaltarang bajaty hain
bohat pukhta irady
kis trha se toot jaty hain

humain idraak hi kab tha
humain kamil bharosa tha
humary sath ksi soorat
b aisa ho nahi skta
dil-e-nadan kabi
qaboo se be'kaboo ho nahi skta
ye dunia-daar
dunia-daar se saadhu ho nahi skta

Mgr...

Mgr phir yon hoa jana
na jany Q hoa jana
bara afsoon hoa jana
jigar ka khoon hoa jana

tere abroo ki ek jumbish
se ghayal ho gye hum b
bary be multafit phirty thy
maayal ho gye hum b
sakhawat krny aye thy
or sayal ho gye hum b
bary boorhon ki in baaton k
qayal ho gye hum b
K...
Muhabbat Rog Hai Jana
Ajab Sanjoog Hai Jana
Yeh Kesa Jog Hai Jana...