Muhabbat ka Bharam Hota
to Phr kuch Soch kr Jaty
Wagarna Zindagi Ban k Mere
Humdum Guzar Jaty

Thaky Hary Prindon Ko
Jo Dekha to Khayal Aya
Koi Jo muntazir hota
to hum b apne ghar jaty

Main kha kr dard ki thokar
abi tak hosla mand hon
ye thokar jo tumhain lagti
to tum khud b bikhar jaty

Is TANHAi ka hum pe
bara Ehsan hai Jana
Na deti sath ye apna
to jany hum kidhar jaty