bharky hoe sholon ko hawaain nahi dete
jaty hoe lamhon ko sadaain nahi dete

maana yehi fitrat hy mgr
isko bdal do
badly me wafaon k
jafaain nahi dete

gar phool nahi dete
to kaanty b to mat do
muskan na deni ho
to aahain nahi dete

tum ne jo kiya
acha kiya
haan itna gila hy...
manzil na ho jis ki to
wo raahain nahi dete

ye baar kahin khud hi uthana na pary kal
ooron ko bicharny ki duaain nahi dete